1: Tafweez ki pehli qism paida karney , rizq dainey , tarbiyat karney aur marney aur jilaney k mutalliq hai jaisa k aik giroh ka khayal hai k khuda wand e alam ney in buzurgwaron ko paida kar kar k doosri makhlooq k muamla't in k supurd kar diye hain lehaza ab ye hi paida kartay hain , rizq daitay hain martay aur jilatay hain iss nazriye mein 2 ahtamal hain :-
I : ye k ye hazra't a.s sub kuchh apni qudrat aur apney iraday sey kartay hain aur yehi in afa'l k haqiqi fail hain ye kufr e sarihi hai iss k mohall o namumkin honey per adla e aqliya o naqliya qaim hain aur koi bhi aqal mand insan aisa aitiqad rakhney walay k kufr mein shak o shuba nahi kar sakta .
II : Dom ye k tamam ka'm khuda wand e alam khud karta hai magar us waqt jab aima a.s irada kartay hain jiss tarah shaq ul qamar karney , murda zinda karney aur asa k sa'np bananey ya iss qism k doosray moujza't hain kiyon k ye tamam moujza't khuda wand e Alam ki hi qudrat o taqat sey zahir hotay hain magar khuda zahir us waqt karta hai jab irada ye hazra't kartay hain ta k in ki sadaqat o sachchai zahir ho jai iss dooray ahtamal k mutalliq agar chy aqal inkar nahi karti k khalaq e alam ney aimma ahl e baiyet a.s ko khalq kar k aisa kamil o akmal bana diya ho aur jo cheez nizam e alam liye behtar hai iss ka un ko alha'm o alqa bhi kar diya ho aur phhir her cheez jo un k iraday aur un ki mashiyat k sath sath paida farmaya ho LEKIN kaseer ul tadad o akhbar o asa'r jin hum ney Behar ul Anwa'r ( jild haftam waghaira mein ) darj kiya hai woh bazahir bal k sarihan siwaye muqam e aijaz k doosray muamla't o halaat mein ye aitiqad rakhney sey maney hain illwah bareen ye aisa aqeeda hai jis k sahi honey ka hamain koi ilm nahi ( han la k asool e aqaid mein ilm o yaqeen zaroori hai ) kiyon k jahan tak hamain ilm hai ye baat akhbar e moutabara mein warid nahi hai aur jo iss qisim k baaz akhbar o asa'r warid huway hain jo bazahir iss baat ( yani aima a.s k khaliq o raziq honey ) per dalalat kartay hain jaisay khutba tul Bayan aur iss k sath miltay jultay doosray ba'z khutbay tou ye sirf GHALIYON ya un k sath miltay jultay ( ba'z batill ) firqon ki kitabon mein hi paye jatay hain ( hamari moutabar kitabon mein un ka kahin naam o nishan tak nahi hai iss liye naqabill e aitimad hai ) In khutbon ki taweel mumkin hai k in sey murad ye hai k chu k ye buzurgwar tamam makhlooqat e alam k wajood ki illat e ghai hai ( agar ye na hotay tou khuda kuchh bhi paida na karta ) Khuda ney in ko zameen o asman mein aisa muta banaya hai k Allah Subhanahu k hukum sey her shay hatta k jamadad bhi in ki atat kartay hain aur ye k ye hazra't jab kisi amar ka irada karain tou khuda wand e alam in ki mashiyat o marzi mustarad nahi karta magar ye wohi chahtay hain jo khuda chahta hai aur ye jo akhbar o asa'r mein warid hai k tamam malaika aur rooh ( jo Jibraill o Mikaill a.s sey bhi azeem ush shan hai ) her amr mein in k pass hazir hotay hain aur ye k jo farishta bhi asman sey zameen per utarta hai pehlay in ki khidmat mein hazir hota hai ( jis sey GHULU parwar hazra't ye samajhtay hain k Aima a.s un ki dutiyan muqarar kartay hain ) tou ye amad o raft iss liye nahi hai k in hazra't a.s ko in amoor ki anja'm dahi mein kuchh dakhal hai aur na iss liye haik in amoor mein ( KHUDA KO ) in hazra't sey mashwara laina maqsood hai bal k khalq o amr tamam amoor qabza e qudrat mein hain in ki bargah mein farishton ka hazir hona mehez in hazrat k ikra'm o ahtara'm au un ki rifat muqa'm o azmat e shan zahir karney k liye hai jabab Tibrisi Ahtijaj mein Ali bin Ahmad Qumi sey riwayet kartay hain k aik martaba shiyon ki aik jama't mein baham ikhtilaf paida ho gaya k aya khuda wand e alam ney paida karney aur rizq dainey k muamla't Aima a.s k supurd kiye hain ye na ? chu na chay ba'z ney kaha k aisa hona mohall hai iss liye Khuda aisa nahi karta kiyon k jismon k paida karney per siwaye khuda Tala k koi aur qudrat nahi rakhta aur ba'z ney ye kaha k khuda wand e qadeer ney Aima e Ahl e Baiyet a.s ko iss baat per qudrat day di hai aur ye muamlat un k spurd farma diye hain lehaza ab wohi paida kartay hain aur wohi rizq daitay hain un ka ye niza bohot shiddat ikhtiyar kar gaya in mein sey aik ( aqal mand ) admi ney kaha tum iss muamlay mein Abu Jaffar Mohammad Bin Usman ( Naib e khasoosi Imam ul asar a.s ) ki taraf ruju kar k un sey kiyon haqiqat e hall maloom nahi kartay ? kiyon k woh iss waqt hazrat sahib ul amr a.s ki bargah mein rasai hasill karney ka ( wahid ) zariya hain chunachay poori jamat ney iss raye sey itefa'q kiya aur soorat e sawal likh kar janab e Abu Jaffar ki khidmat mein paish kar di ( aur unhon ney ussay khidmat e Imam a.s mein paish kiya ) pus nahiya e Muqaddisa sey iss ka jo jawab sadir huwa uss k alfaz ye hai ( tarjuma ) Khuda wand e Alam hi jismon ka paida karney aur rizq taqseem karney wala hai kiyon k na woh jism rakhta hai aur na kisi jisim mein halool karta hai koi cheez uss ki humsar o nazeer nahi aur woh sunney aur daikhney wala hai han aima a.s bargah e qudrat mein sawal o sifarish kartay hain aur woh un k sawal ko qabool kartay huway aur un k haqooq ki nigehdasht kartay huway paida kar daita hai aur ye sawal o sifarish kartay hain tou woh rizq ata farma daita hai " ( Ye hi waseelay ka sahi mafhoom hai ) Hazrat Shaikh Sadooq ney Ayoon Akhbar al Raza ( page 124 , kazafi al ahtajaj page 264 ) mein Imam Jaffar Sadiq a.s k irshad " La Jabar wa la tafreez amr bayan ul amreen " ki tashrih k silsilay mein Hazrat Imam Raza a.s sey ye riwayet naqal ki hai k anjanab a.s ney farmaya jo shakhs ye aitiqad rakhta hai k khuda wand e alam hi hamaray afall ka faill hai aur phhir ( hamaray buray ) afall per hamain azab bhi karta hai woh jabar ka qaill hai aur jo ye kehta hai k khuda ney paida karney , rizq dainey ka muamla apni hujjaton ( Aima a.s ) k supurd kar diy hai tou woh tafweez ka qaill hai jabar ka qaill kafir aur tafweez ka qaill mushrik hai " .
7: Tafweez ki satwi ( 7th ) qisim taqseem e rizq hai ( k rizq khuda daita hai aur ussay taqseem Aima Huda a.s katay hain ) kitab e fawaid mein issay bhi tafweez mein dakhill kiya hai iss qisim ka sahi ya batill hona tafweez k pehlay maini sey maloom ho sakta hai kiyon k iss qisim ki baz gasht bhi issi awal ( 1st ) ki taraf hai ( jo k ghalt aur mamnu hai ) bal k ye qism bainah wohi qism e awal ( 1st ) hai han sirf iss qadar farq ho sakta hai k qisim e awal paida karney , rizq dainey aur umr ghataney o barhaney mein sub amoor shamill ho aur ye akhri qisim sirf rizq k sath mukhtas ho "
Marat ul Aqool fi sharah Asool e kafi jild 1 page 192 by allama Baqar Majlisi ba hawala Asool e sharia fi aqaid ush shia page 152 and 157 by Grand ayat Ullah Ul Uzma Mohammad Hussain Najafi .

No comments:
Post a Comment